Shahr-e-na-pursan Mein Kuchh Apna Pata Milta Nahin

shahr-e-na-pursan mein kuchh apna pata milta nahin

baam-o-dar raushan hain lekin rasta milta nahin

fasl-e-gul aisi ki arzan ho gae kaghaz ke phul

ab koi gul-pairahan zarrin-qaba milta nahin

aashna chehron se rang-e-ashnai uD gaya

ham-zaban ab KHushk patton ke siwa milta nahin

ek sannaTa hai shabnam se shua-e-nur tak

ab koi aanchal pas-e-mauj-e-saba milta nahin

hakimon ne shahr ke andar fasilen khinch din

din mein bhi ab koi darwaza khula milta nahin

itne be-parwa irade itne be-taufiq gham

hath uThte hain magar harf-e-dua milta nahin

(918) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr-e-na-pursan Mein Kuchh Apna Pata Milta Nahin In English By Famous Poet Hasan Abidi. Shahr-e-na-pursan Mein Kuchh Apna Pata Milta Nahin is written by Hasan Abidi. Read famous Poem Shahr-e-na-pursan Mein Kuchh Apna Pata Milta Nahin for youth and Student by Hasan Abidi. Free Download Shahr-e-na-pursan Mein Kuchh Apna Pata Milta Nahin in PDF.