Subh Aankh Khulti Hai Ek Din Nikalta Hai

subh aankh khulti hai ek din nikalta hai

phir ye ek din barson sath sath chalta hai

kuchh na kuchh to hota hai ek tere na hone se

warna aisi baaton par kaun hath malta hai

qafile to sahra mein thak ke so bhi jate hain

chand baadalon ke sath sari raat chalta hai

dil charagh-e-mahfil hai lekin us ke aane tak

bar bar bujhta hai bar bar jalta hai

kulfaten judai ki umr bhar nahin jatin

ji bahal to jata hai par kahan bahalta hai

dil tapan nahin rahta main ghazal nahin kahta

ye sharar apni hi aag se uchhalta hai

main bisat-e-danish ka dur se tamashai

dekhta raha shatir kaise chaal chalta hai

(855) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Aankh Khulti Hai Ek Din Nikalta Hai In English By Famous Poet Hasan Abidi. Subh Aankh Khulti Hai Ek Din Nikalta Hai is written by Hasan Abidi. Read famous Poem Subh Aankh Khulti Hai Ek Din Nikalta Hai for youth and Student by Hasan Abidi. Free Download Subh Aankh Khulti Hai Ek Din Nikalta Hai in PDF.