Ummid Ka Bab Likh Raha Hun

ummid ka bab likh raha hun

patthar pe gulab likh raha hun

wo shahr to KHwab ho chuka hai

jis shahr ke KHwab likh raha hun

ashkon mein piro ke us ki yaaden

pani pe kitab likh raha hun

wo chehra to aaina-numa hai

main jis ko hijab likh raha hun

sahra mein wafur-e-tishnagi se

sae ko sahab likh raha hun

lamhon ke sawal se gurezan

sadiyon ka jawab likh raha hun

sab us ke karam ki dastanen

main zer-e-itab likh raha hun

(952) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ummid Ka Bab Likh Raha Hun In English By Famous Poet Hasan Abidi. Ummid Ka Bab Likh Raha Hun is written by Hasan Abidi. Read famous Poem Ummid Ka Bab Likh Raha Hun for youth and Student by Hasan Abidi. Free Download Ummid Ka Bab Likh Raha Hun in PDF.