Aaj Bhi Teri Hi Surat Hai Muqabil Mere

aaj bhi teri hi surat hai muqabil mere

ye bhi ek ishq ka andaz hai qatil mere

tera mahrum-e-mohabbat hun so wapas na gaya

be-mohabbat kabhi dar se koi sail mere

husn-e-bimar tujhe phul diye hain main ne

in mein hone the magar zaKHm bhi shamil mere

aur main hun ki safar phir bhi kiye jata hun

sae ki tarah taaqub mein hai manzil mere

main samundar ke talatum se bhi kuchh sikhta hun

isi taqsir pe dushman hue sahil mere

aaj aaraishi zanjir hai gardan mein 'kamal'

kabhi hathiyar gale mein the hamail mere

(670) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Bhi Teri Hi Surat Hai Muqabil Mere In English By Famous Poet Hasan Akbar Kamal. Aaj Bhi Teri Hi Surat Hai Muqabil Mere is written by Hasan Akbar Kamal. Read famous Poem Aaj Bhi Teri Hi Surat Hai Muqabil Mere for youth and Student by Hasan Akbar Kamal. Free Download Aaj Bhi Teri Hi Surat Hai Muqabil Mere in PDF.