Dudh Jaisa Jhag Lahren Ret Aur Ye Sipiyan

dudh jaisa jhag lahren ret aur ye sipiyan

jin ko chunti phir rahi hain motiyon si laDkiyan

bagh mein bachchon ke gird-o-pesh yun uDti phiren

jaise qatil apna apna DhunDhti hun titliyan

wo mujhe KHushiyan na de aur meri aankhen nam na hon

hai ye paiman zindagi ke aur mere darmiyan

baam-o-dar un ke hawa kis pyar se chhuti rahi

chandni ki god mein jab so rahi thin bastiyan

kal yahi bachche samundar ko muqabil paenge

aaj tairaate hain jo kaghaz ki nannhi kashtiyan

ghumna pahron ghane mahke hue ban mein 'kamal'

wapsi mein dekhna apne hi qadmon ke nishan

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dudh Jaisa Jhag Lahren Ret Aur Ye Sipiyan In English By Famous Poet Hasan Akbar Kamal. Dudh Jaisa Jhag Lahren Ret Aur Ye Sipiyan is written by Hasan Akbar Kamal. Read famous Poem Dudh Jaisa Jhag Lahren Ret Aur Ye Sipiyan for youth and Student by Hasan Akbar Kamal. Free Download Dudh Jaisa Jhag Lahren Ret Aur Ye Sipiyan in PDF.