Dukh UThao Kitne Hi Ghar Bahaar Karne Mein

dukh uThao kitne hi ghar bahaar karne mein

ek pal nahin lagta phul sab bikharne mein

zindagi ho kaisi bhi us se ji nahin bharta

warna sirf hota hai kitna waqt marne mein

khiDkiyan huin KHali phulon aur charaghon se

kaisa dil taDapta hai shahr se guzarne mein

waqt zaKHm bharta hai aur yun bhi hota hai

umr bit jati hai ek zaKHm bharne mein

sab ki baat dohrana yun to rasm-e-duniya hai

lutf aur hai lekin apni baat karne mein

ja basi hai wo laDki shahr mein magar ab bhi

gunjte hain git us ke har pahaDi jharne mein

(648) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dukh UThao Kitne Hi Ghar Bahaar Karne Mein In English By Famous Poet Hasan Akbar Kamal. Dukh UThao Kitne Hi Ghar Bahaar Karne Mein is written by Hasan Akbar Kamal. Read famous Poem Dukh UThao Kitne Hi Ghar Bahaar Karne Mein for youth and Student by Hasan Akbar Kamal. Free Download Dukh UThao Kitne Hi Ghar Bahaar Karne Mein in PDF.