Hunar Jo Talib-e-zar Ho Hunar Nahin Rahta

hunar jo talib-e-zar ho hunar nahin rahta

mahal-sara mein koi kuza-gar nahin rahta

bichhaDte waqt kisi se hamein bhi tha ye guman

ki zaKHm kaisa bhi ho umr-bhar nahin rahta

main apne haq ke siwa mangta agar kuchh aur

to mere harf-e-dua mein asar nahin rahta

kuchh aur bhi guzar-auqat ke wasile hain

gada KHazina-e-kashkol par nahin rahta

wo kaun hai jo musafir ke sath chalta hai

KHayal-e-yar bhi jab ham-safar nahin rahta

jise banate sajate hain jis mein rahte hain

sawere aankh khule to wo ghar nahin rahta

khuli faza na rahe yaad agar parindon ko

gham-e-shikastagi-e-baal-o-par nahin rahta

hum ek shab mein kai KHwab dekhte hain so ab

wo aa ke KHwab mein bhi raat-bhar nahin rahta

'kamal' log bhi kya hain guman ye rakhte hain

jo bas gaya ho kahin dar-ba-dar nahin rahta

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hunar Jo Talib-e-zar Ho Hunar Nahin Rahta In English By Famous Poet Hasan Akbar Kamal. Hunar Jo Talib-e-zar Ho Hunar Nahin Rahta is written by Hasan Akbar Kamal. Read famous Poem Hunar Jo Talib-e-zar Ho Hunar Nahin Rahta for youth and Student by Hasan Akbar Kamal. Free Download Hunar Jo Talib-e-zar Ho Hunar Nahin Rahta in PDF.