Kya Guman Tha Ki Na Hoga Koi Ham-sar Apna

kya guman tha ki na hoga koi ham-sar apna

din Dhale saya muqabil hua baDh kar apna

ghar se nalan the magar dekhi hai duniya hum ne

hai agar koi aman-gah to bas ghar apna

dard pe kaisa sharar ban ke uTha pahlu mein

hum to yun KHush the ki dil kar liya patthar apna

raat-bhar koi na soe to sune shor-e-fughan

chand ko dard sunata hai samundar apna

dukh uThae to bahut rang KHud apne dekhe

kam qayamat se na tha jo bhi tha manzar apna

roz-o-shab apne kisi se nahin milte hain 'kamal'

hum to lae hain alag sab se muqaddar apna

(680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Guman Tha Ki Na Hoga Koi Ham-sar Apna In English By Famous Poet Hasan Akbar Kamal. Kya Guman Tha Ki Na Hoga Koi Ham-sar Apna is written by Hasan Akbar Kamal. Read famous Poem Kya Guman Tha Ki Na Hoga Koi Ham-sar Apna for youth and Student by Hasan Akbar Kamal. Free Download Kya Guman Tha Ki Na Hoga Koi Ham-sar Apna in PDF.