Wo ShaKHs To Mujhe Hairan Karta Jata Tha

wo shaKHs to mujhe hairan karta jata tha

ki zaKHm de ke mujhe un ko bharta jata tha

daricha kholte jo hath un mein thi zanjir

gali se ek musafir guzarta jata tha

banae jata tha main apne hath ko kashkol

so meri ruh mein KHanjar utarta jata tha

use malal se takti thin ganw ki galiyan

wo naghma-gar jo siye lab guzarta jata tha

banae jata tha us ko hasin na jaane kaun

badan wo phul na tha aur nikharta jata tha

talash-e-zar mein jawan kuch karte jate the

'kamal' ganw ka sab husn marta jata tha

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo ShaKHs To Mujhe Hairan Karta Jata Tha In English By Famous Poet Hasan Akbar Kamal. Wo ShaKHs To Mujhe Hairan Karta Jata Tha is written by Hasan Akbar Kamal. Read famous Poem Wo ShaKHs To Mujhe Hairan Karta Jata Tha for youth and Student by Hasan Akbar Kamal. Free Download Wo ShaKHs To Mujhe Hairan Karta Jata Tha in PDF.