Aarzu Ki Hama-hami Aur Main

aarzu ki hama-hami aur main

dard-e-dil dard-e-zindagi aur main

mauja-e-qulzum-e-abad aur tu

chand bundon ki tishnagi aur main

raat-bhar teri rah takte rahe

tere kuche ki raushni aur main

chhup ke milte hain teri yaadon se

shab ki tanhai chandni aur main

ek hi rah ke musafir hain

be-karan raat KHamushi aur main

raat us paikar-e-KHayal ke pas

chand phulon ki boss thi aur main

ye bhi ek manzil-e-junun thi 'jalil'

warna zindan-e-agahi aur main

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aarzu Ki Hama-hami Aur Main In English By Famous Poet Hasan Akhtar Jaleel. Aarzu Ki Hama-hami Aur Main is written by Hasan Akhtar Jaleel. Read famous Poem Aarzu Ki Hama-hami Aur Main for youth and Student by Hasan Akhtar Jaleel. Free Download Aarzu Ki Hama-hami Aur Main in PDF.