Barson Teri Talab Mein Safina Rawan Raha

barson teri talab mein safina rawan raha

ai mere mehrban bhanwar tu kahan raha

un se mili nazar to palaT kar na aa saki

wo rishta-e-nigah bhi kab darmiyan raha

kab umr-e-KHizr KHanda-e-gul ka jawab hai

yan do ghaDi mein umr-e-abad ka saman raha

main bhi tere baghair na aaram pa saka

tu bhi meri talash mein be-KHanaman raha

mujh ko gila hai tab-e-murawwat-shiar se

saghar-ba-dast ho ke bhi tishna wahan raha

ai daur-e-charKH ab koi tadbir aur kar

teri sitamgari pe to main shadman raha

mujh ko 'jalil' kaun kahega shikasta-dil

khaya tha ek zaKHm so wo be-nishan raha

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barson Teri Talab Mein Safina Rawan Raha In English By Famous Poet Hasan Akhtar Jaleel. Barson Teri Talab Mein Safina Rawan Raha is written by Hasan Akhtar Jaleel. Read famous Poem Barson Teri Talab Mein Safina Rawan Raha for youth and Student by Hasan Akhtar Jaleel. Free Download Barson Teri Talab Mein Safina Rawan Raha in PDF.