Dil Ki Taraf Nigah-e-taghaful Raha Kare

dil ki taraf nigah-e-taghaful raha kare

is KHak-e-rah ko bhi koi kimiya kare

hire ki kan dekh ke aata hai ye KHayal

kash is zamin se dana-e-gandum uga kare

TuTe kisi tarah to dhuen ka siyah tilism

har sham is dayar mein aandhi chala kare

dhime dukhon ki rakh badan par mili to hai

wo Dal de nazar to mujhe aaina kare

KHushbu mere ghamon ki bikhar jae dur dur

yun chup rahun ki ek zamana suna kare

bujhne lagi hai sham ke aangan mein raushni

ab mauj-e-KHun-e-dil hi koi moajiza kare

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Taraf Nigah-e-taghaful Raha Kare In English By Famous Poet Hasan Akhtar Jaleel. Dil Ki Taraf Nigah-e-taghaful Raha Kare is written by Hasan Akhtar Jaleel. Read famous Poem Dil Ki Taraf Nigah-e-taghaful Raha Kare for youth and Student by Hasan Akhtar Jaleel. Free Download Dil Ki Taraf Nigah-e-taghaful Raha Kare in PDF.