Raat Lambi Bhi Hai Aur Tarik Bhi Shab-guzari Ka Saman Karo Dosto

raat lambi bhi hai aur tarik bhi shab-guzari ka saman karo dosto

jaane phir kab ye milna muqaddar mein ho apni apni kahani kaho dosto

kis pari-chehra se pyar tum ne kiya kaun se des ke shahzade ho tum

apni rudad-e-ulfat suna kar baham dastan koi tashkil do dosto

mujh ko ehsas hai tum bhi meri tarah jaan-o-dil ku-e-ulfat mein haar aae ho

ab ye bazi nae sar se mumkin nahin apna anjam KHud soch lo dosto

subh hogi to zalim zamane ke gham tum pe abr-e-sitam ban ke chha jaenge

fursat-e-bazm-e-shab se ghaDi-do-ghaDi baat aapas ki koi karo dosto

Dhal gai raat tare bikharne lage muntashir ho chale dhyan ke silsile

koi dam aur dil mein farozan raho ek muddat ke baad aae ho dosto

(1739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Lambi Bhi Hai Aur Tarik Bhi Shab-guzari Ka Saman Karo Dosto In English By Famous Poet Hasan Akhtar Jaleel. Raat Lambi Bhi Hai Aur Tarik Bhi Shab-guzari Ka Saman Karo Dosto is written by Hasan Akhtar Jaleel. Read famous Poem Raat Lambi Bhi Hai Aur Tarik Bhi Shab-guzari Ka Saman Karo Dosto for youth and Student by Hasan Akhtar Jaleel. Free Download Raat Lambi Bhi Hai Aur Tarik Bhi Shab-guzari Ka Saman Karo Dosto in PDF.