Shab Ki Dahliz Se Kis Hath Ne Phenka Patthar

shab ki dahliz se kis hath ne phenka patthar

ho gaya subh ka mahka hua chehra patthar

kuchh anokhi to nahin meri mohabbat ki shikast

aaine jab bhi muqabil hue jita patthar

is tilismat ki wadi mein palaT kar bhi na dekh

warna ho jaega KHud tera sarapa patthar

yaad ki lahr baha lai hai kis des mujhe

hai yahan waqt ka bahta hua dariya patthar

kis ke paikar mein samata mere ehsas ka loch

main ne insan se KHajil ho ke tarasha patthar

teri aankhon mein abhi nind ke Dore kyun hain

yan to ek choT se ho jate hain bina patthar

kund kar deta hai yun zehan ko haalat ka zahr

jaise ban jae chamakta hua sona patthar

teri sochon ki qasam ai mere KHamosh KHuda

mujh se karte hain itaat ka taqaza patthar

mujh se mayus na palTe meri taqdir ke gham

meri ungli mein na tha koi chamakta patthar

kitni dildar hai sahil ki chamakti hui ret

ab nahin panw-tale koi nukila patthar

main sar-e-dar khaDa hun kai sadiyon se 'jalil'

kaun marega mere jism pe pahla patthar

(971) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab Ki Dahliz Se Kis Hath Ne Phenka Patthar In English By Famous Poet Hasan Akhtar Jaleel. Shab Ki Dahliz Se Kis Hath Ne Phenka Patthar is written by Hasan Akhtar Jaleel. Read famous Poem Shab Ki Dahliz Se Kis Hath Ne Phenka Patthar for youth and Student by Hasan Akhtar Jaleel. Free Download Shab Ki Dahliz Se Kis Hath Ne Phenka Patthar in PDF.