Ye Raat Kash Isi Dilkashi Se Dhalti Rahe

ye raat kash isi dilkashi se Dhalti rahe

ufuq ke pas pahaDon mein aag jalti rahe

daraaz-tar ho KHayalon ki bastiyon ka safar

meri talash sada zawiye badalti rahe

koi charagh na mere harim-e-gham mein jale

KHud apni aanch mein ye tirgi pighalti rahe

shikasta ho ke bhi naumid ho na dil tera

bujhe charagh mein bhi raushni machalti rahe

safine Dub gae kitne dil ke sagar mein

KHuda kare teri yaadon ki naw chalti rahe

(712) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Raat Kash Isi Dilkashi Se Dhalti Rahe In English By Famous Poet Hasan Akhtar Jaleel. Ye Raat Kash Isi Dilkashi Se Dhalti Rahe is written by Hasan Akhtar Jaleel. Read famous Poem Ye Raat Kash Isi Dilkashi Se Dhalti Rahe for youth and Student by Hasan Akhtar Jaleel. Free Download Ye Raat Kash Isi Dilkashi Se Dhalti Rahe in PDF.