Jo Naqsh-e-barg-e-karam Dal Dal Hai Us Ka

jo naqsh-e-barg-e-karam Dal Dal hai us ka

to dasht aag ugalta jalal hai us ka

dayar-e-dida-o-dil mein main sochta hun use

ki is se aage tasawwur muhaal hai us ka

adhuri baat hai zikr-e-muqim-e-shahr-e-junub

har ek musafir-e-rah-e-shumal hai us ka

badan ke dasht mein us ki hi gunj hai har su

jawab us ke hain har ek sawal hai us ka

usi ka hai ye bhara shahr dasht-e-KHali bhi

ye bhiD us ki hai qaht-ur-rijal hai us ka

main sochta hun ki taswir-e-KHak ko meri

hazar rang mein rangna kamal hai us ka

wo aaina bhi 'hasan' us ke fan ka jadu hai

ye chehra bhi hunar-e-la-zawal hai us ka

(659) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Naqsh-e-barg-e-karam Dal Dal Hai Us Ka In English By Famous Poet Hasan Aziz. Jo Naqsh-e-barg-e-karam Dal Dal Hai Us Ka is written by Hasan Aziz. Read famous Poem Jo Naqsh-e-barg-e-karam Dal Dal Hai Us Ka for youth and Student by Hasan Aziz. Free Download Jo Naqsh-e-barg-e-karam Dal Dal Hai Us Ka in PDF.