Ek Qissa-e-tawil Hai Afsana Dasht Ka

ek qissa-e-tawil hai afsana dasht ka

aaKHir kahin to KHatm ho virana dasht ka

mujh ko bhi gharq bahr-e-tamasha mein kar diya

ab had se baDhta jata hai diwana dasht ka

tawiz-e-ab ke siwa chaara nahin koi

aaseb-e-tishnagi se hai yarana dasht ka

tu ne shikast khai mahaz-e-qayam par

ab sikka-e-safar mein de harjaana dasht ka

hota nahin jo KHali kabhi jam-e-aftab

din bhar hi garm rahta hai mai-KHana dasht ka

ab zulmaton ka KHauf nahin KHak-e-shahr ki

raushan hai sham-e-reg se kashana dasht ka

aadab-e-munsifi se main waqif nahin 'hasan'

shahr-e-KHata mein karta hun jurmana dasht ka

(659) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Qissa-e-tawil Hai Afsana Dasht Ka In English By Famous Poet Hasan Aziz. Ek Qissa-e-tawil Hai Afsana Dasht Ka is written by Hasan Aziz. Read famous Poem Ek Qissa-e-tawil Hai Afsana Dasht Ka for youth and Student by Hasan Aziz. Free Download Ek Qissa-e-tawil Hai Afsana Dasht Ka in PDF.