Dekhun Wo Karti Hai Ab Ke Alam-arai Ki Main

dekhun wo karti hai ab ke alam-arai ki main

haarta kaun hai is jang mein tanhai ki main

bhul baiTha hun ki aflak bhi kuchh hote hain

apni wusat mein mili mujh ko wo gahrai ki main

aaj tak apni rihai ki dua karta hun

ab ke zanjir hawaon ne wo pahnai ki main

KHud ko pane laga tanhai ki tariki mein

is qadar shoKH hua rang-e-shanasai ki main

rang-e-tabir andheron se uTha leta hun

kaun KHwabon ko ata karta hai binai ki main

gosha-e-dasht mein yunhi to nahin baiTha hun

safar aasan karega koi saudai ki main

us ki har baat pe iman nahin rakhta hun

kuchh to tahrir pe ho hashiya-arai ki main

rakhne wala hun qadam qarya-e-shohrat mein 'hasan'

hamla-awar na kahin ho sag-e-ruswai ki main

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhun Wo Karti Hai Ab Ke Alam-arai Ki Main In English By Famous Poet Hasan Aziz. Dekhun Wo Karti Hai Ab Ke Alam-arai Ki Main is written by Hasan Aziz. Read famous Poem Dekhun Wo Karti Hai Ab Ke Alam-arai Ki Main for youth and Student by Hasan Aziz. Free Download Dekhun Wo Karti Hai Ab Ke Alam-arai Ki Main in PDF.