Ajib Haal Hai Sahra-nashin Hain Ghar Wale

ajib haal hai sahra-nashin hain ghar wale

gharon mein baiTh gae hain idhar-udhar wale

nawah-e-jism nahin garche regzar se kam

yahan bhi KHitte kai hain hare shajar wale

agarche shor bahut hai dar-e-dua pe magar

zabanen band kiye baiThe hain asar wale

hai rah-e-jaan yunhi sunsan ek muddat se

na gard uDi na dikhai diye safar wale

baghair aankh ke chehron ka ab chalan hai yahan

wo din gae ki hua karte the nazar wale

abhi main shahr ko sahra banae deta hun

ki mere hath bhi kuchh kam nahin hunar wale

simaT ke rah gae ab chand saaton mein 'hasan'

yahi the kaam kisi waqt umr-bhar wale

(674) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Haal Hai Sahra-nashin Hain Ghar Wale In English By Famous Poet Hasan Aziz. Ajib Haal Hai Sahra-nashin Hain Ghar Wale is written by Hasan Aziz. Read famous Poem Ajib Haal Hai Sahra-nashin Hain Ghar Wale for youth and Student by Hasan Aziz. Free Download Ajib Haal Hai Sahra-nashin Hain Ghar Wale in PDF.