KHud Par Koi Tufan Guzar Jaane Ke Dar Se

KHud par koi tufan guzar jaane ke Dar se

main band hun kamre mein bikhar jaane ke Dar se

ye log mujhe KHun ka tajir na samajh len

main tegh liye phirta hun sar jaane ke Dar se

har sae pe aahaT pe nazar rakhta hun shab bhar

bistar pe nahin jata hun Dar jaane ke Dar se

main TuTne deta nahin rangon ka tasalsul

zaKHmon ko hara karta hun bhar jaane ke Dar se

wo man ki mohabbat ki bulandi thi ki us ne

zinda hi na chhoDa mujhe mar jaane ke Dar se

kuchh jit mein bhi faeda hota nahin phir bhi

wo jang nahin haarta harjaane ke Dar se

afsurda 'hasan' hain mere lashkar ke sipahi

us tak mere zaKHmon ki KHabar jaane ke Dar se

(819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Par Koi Tufan Guzar Jaane Ke Dar Se In English By Famous Poet Hasan Aziz. KHud Par Koi Tufan Guzar Jaane Ke Dar Se is written by Hasan Aziz. Read famous Poem KHud Par Koi Tufan Guzar Jaane Ke Dar Se for youth and Student by Hasan Aziz. Free Download KHud Par Koi Tufan Guzar Jaane Ke Dar Se in PDF.