Kis Ne Sunaya Aur Sunaya To Kya Suna

kis ne sunaya aur sunaya to kya suna

sunta hun aaj tu ne mera majra suna

aise se dil ka haal kahen bhi to kya kahen

jo be-kahe kahe ki chalo bas suna suna

wasl-e-adu ka haal sunane se faeda

allah rahm kijiye bas bas suna suna

qasid tere sukut se dil be-qarar hai

kya us jafa-shiar ne tujh se kaha suna

aaKHir 'hasan' wo ruTh gae uTh ke chal diye

kam-baKHt aur haal-e-dil-e-mubtala suna

(715) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ne Sunaya Aur Sunaya To Kya Suna In English By Famous Poet Hasan Barelvi. Kis Ne Sunaya Aur Sunaya To Kya Suna is written by Hasan Barelvi. Read famous Poem Kis Ne Sunaya Aur Sunaya To Kya Suna for youth and Student by Hasan Barelvi. Free Download Kis Ne Sunaya Aur Sunaya To Kya Suna in PDF.