Raaz-e-dil Late Hain Zaban Tak Hum

raaz-e-dil late hain zaban tak hum

dukh bharen ai KHuda kahan tak hum

aur wo hum se khinchte jate hain

minnaten karte hain jahan tak hum

na uDa baghban ki gulshan-e-dil

aur hain aamad-e-KHizan tak hum

aap ke lutf ne to qahr kiya

KHub the jaur-e-asman tak hum

aasman tak gaya hai sail-e-sarishk

dil ko roya karen kahan tak hum

un ka aana bhi ab nahin manzur

jaan se tang hain yahan tak hum

tera paigham bhi suna denge

ai 'hasan' pahunchen to wahan tak hum

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raaz-e-dil Late Hain Zaban Tak Hum In English By Famous Poet Hasan Barelvi. Raaz-e-dil Late Hain Zaban Tak Hum is written by Hasan Barelvi. Read famous Poem Raaz-e-dil Late Hain Zaban Tak Hum for youth and Student by Hasan Barelvi. Free Download Raaz-e-dil Late Hain Zaban Tak Hum in PDF.