Jhulse Badan Na Sulgen Aankhen Aise Hain Din-raat Mere

jhulse badan na sulgen aankhen aise hain din-raat mere

kash kabhi tum aa jao badle hain haalat mere

main kya jaanun kis manzil ki kin rahon ki khoj mein hun

mera Thor Thikana gham hai koi na aae sath mere

tum raswanti narm lajili taza konpal sabz kali

main patjhaD ka mara pipal sukh chale hain pat mere

tum kya jaano mera jina jite-ji mar jaana hai

pap se dil ko lakh bacha lun phans jate hain hath mere

(940) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jhulse Badan Na Sulgen Aankhen Aise Hain Din-raat Mere In English By Famous Poet Hasan Kamal. Jhulse Badan Na Sulgen Aankhen Aise Hain Din-raat Mere is written by Hasan Kamal. Read famous Poem Jhulse Badan Na Sulgen Aankhen Aise Hain Din-raat Mere for youth and Student by Hasan Kamal. Free Download Jhulse Badan Na Sulgen Aankhen Aise Hain Din-raat Mere in PDF.