Kal KHwab Mein Dekha Sakhi Maine Piya Ka Ganw Re

kal KHwab mein dekha sakhi main ne piya ka ganw re

kanTa wahan ka phul tha aur dhup jaise chhanw re

jo dekhna chahe unhen aa kar mujhi ko dekh le

un ka mera ek rup re un ka mera ek nanw re

hai sath yun din-raat ka kangna se jaise hath ka

dil mein uljha hai yun pael mein jaise panw re

mehndi mein lali jis tarah kanon mein baali jis tarah

jab yun mile to kya chale duniya ka hum pe danw re

sab se saral bhasha wahi sab se madhur boli wahi

bolin jo naina banware samjhen jo sayyan sanware

hum kab mile kaise mile koi na jaane bhed ye

thoDa bahut jaanen 'hasan' lekin wo Thahra banware

(3224) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal KHwab Mein Dekha Sakhi Maine Piya Ka Ganw Re In English By Famous Poet Hasan Kamal. Kal KHwab Mein Dekha Sakhi Maine Piya Ka Ganw Re is written by Hasan Kamal. Read famous Poem Kal KHwab Mein Dekha Sakhi Maine Piya Ka Ganw Re for youth and Student by Hasan Kamal. Free Download Kal KHwab Mein Dekha Sakhi Maine Piya Ka Ganw Re in PDF.