Aankhon Mein Bas Raha Hai Ada Ke Baghair Bhi

aankhon mein bas raha hai ada ke baghair bhi

dil us ko sun raha hai sada ke baghair bhi

khilte hain chand phul bayaban mein be-sabab

girte hain kuchh daraKHt hawa ke baghair bhi

main hun wo shah-baKHt ki darbar-e-husn mein

chalta hai apna kaam wafa ke baghair bhi

munsif ko sab KHabar hai magar bolta nahin

mujh par hua jo zulm saza ke baghair bhi

bandon ne jab se kaam sambhaala hai dahr ka

nazil hai roz qahr KHuda ke baghair bhi

urdu ghazal ke dam se wo tahzib bach gai

miTne ka jis ke gul tha fana ke baghair bhi

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Bas Raha Hai Ada Ke Baghair Bhi In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Aankhon Mein Bas Raha Hai Ada Ke Baghair Bhi is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Aankhon Mein Bas Raha Hai Ada Ke Baghair Bhi for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Aankhon Mein Bas Raha Hai Ada Ke Baghair Bhi in PDF.