Aankhon Se Tapke Os To Jaan Mein Nami Rahe

aankhon se Tapke os to jaan mein nami rahe

mahke umid dard ki kheti hari rahe

ye kya ki aaj wasl to kal sadma-e-firaq

tab hai maza ki bazm-e-nigaran jami rahe

kab puchhta hai koi lagawaT se dil ka haal

yaron ka hai mizaj ki kuchh dil-lagi rahe

aafat ke pahaD ka din-raat samna

kis ki panah mange kahan aadmi rahe

jis ne bhi jaana ishq ko tafrih KHush raha

sanjida ho ke hum to nihayat dukhi rahe

ji chahta hai phir usi mah-wash se rabt ho

KHalwat-kade mein ruh ke phir chandni rahe

dil kya bujha ki nur nahin chaar-su 'naim'

jalta rahe dimagh to kuchh raushni rahe

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Se Tapke Os To Jaan Mein Nami Rahe In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Aankhon Se Tapke Os To Jaan Mein Nami Rahe is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Aankhon Se Tapke Os To Jaan Mein Nami Rahe for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Aankhon Se Tapke Os To Jaan Mein Nami Rahe in PDF.