Aarzu Thi Ki Tera Dahr Bhi Shohra Howe

aarzu thi ki tera dahr bhi shohra howe

teri nisbat se ghazal ham-sar-e-zohra howe

kaun deta hai mujhe KHwab ki mashal har aan

aas ban kar na wahi qalb mein Thahra howe

ye na mehman-sara hai na hawas ka kucha

dil mein wo shaKHs base aa ke jo gahra howe

mauja-e-waqt mein ru-posh hai wo mah-e-tamam

chandni howe jahan yaad ka bajra howe

dhund hi dhund nazar aaya jidhar bhi dekha

meri duniya mere arman ka na chehra howe

dil ke aangan mein koi aa ke na jae wapas

is ilaqa mein agar ishq ka pahra howe

us ki taswir mein yun rang-e-alamat rakhiyo

wo kahin nur kahin phul ka gajra howe

itni tasir to fariyaad ki qismat ho 'naim'

hakim-e-waqt badal jae jo bahra howe

(698) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aarzu Thi Ki Tera Dahr Bhi Shohra Howe In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Aarzu Thi Ki Tera Dahr Bhi Shohra Howe is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Aarzu Thi Ki Tera Dahr Bhi Shohra Howe for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Aarzu Thi Ki Tera Dahr Bhi Shohra Howe in PDF.