Basar Ho Yun Ki Har Ek Dard Hadisa Na Lage

basar ho yun ki har ek dard hadisa na lage

guzar bhi jae koi gham to waqia na lage

kabhi na phul se chehre pe gard-e-yas jame

KHuda kare ki use ishq ki hawa na lage

nazar na aae mujhe husn ke siwa kuchh bhi

wo bewafa bhi agar hai to bewafa na lage

yahi dua hai wo jab ho jamal se aagah

libas-e-naz bhi pahne to dusra na lage

wo mehrban sa lage us ki kuchh karo tadbir

KHafa bhi ho to meri aankh ko KHafa na lage

mile jo nur-talab dil bhi yun munawwar ho

mera harif bhi sham-o-sahar bura na lage

kahan se laun 'hasan' guftugu mein wo andaz

mera kalam kisi ko bhi be-maza na lage

(1279) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Basar Ho Yun Ki Har Ek Dard Hadisa Na Lage In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Basar Ho Yun Ki Har Ek Dard Hadisa Na Lage is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Basar Ho Yun Ki Har Ek Dard Hadisa Na Lage for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Basar Ho Yun Ki Har Ek Dard Hadisa Na Lage in PDF.