Dil Mein Ho Aas To Har Kaam Sambhal Sakta Hai

dil mein ho aas to har kaam sambhal sakta hai

har andhere mein diya KHwab ka jal sakta hai

ishq wo aag jo barson mein sulagti hai kabhi

dil wo patthar jo kisi aan pighal sakta hai

har nirasha hai liye hath mein aasha bandhan

kaun janjal se duniya ke nikal sakta hai

jis ne sajan ke liye apne nagar ko chhoDa

sar uTha kar wo kisi shahr mein chal sakta hai

mera mahbub hai wo shaKHs jo chahe to 'naim'

sukhi Dali ko bhi gulshan mein badal sakta hai

(942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Ho Aas To Har Kaam Sambhal Sakta Hai In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Dil Mein Ho Aas To Har Kaam Sambhal Sakta Hai is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Dil Mein Ho Aas To Har Kaam Sambhal Sakta Hai for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Dil Mein Ho Aas To Har Kaam Sambhal Sakta Hai in PDF.