Dil Wo Kisht-e-arzu Tha Jis Ki Paimaish Na Ki

dil wo kisht-e-arzu tha jis ki paimaish na ki

sair-e-duniya ke siwa hum ne koi KHwahish na ki

motiyon se chashm-o-jaan ko aaina-KHana kiya

sip ke TukDon se baam-o-dar ki aaraish na ki

kis ko fursat thi ki sunta us safar ka majra

jab usi manzil-nashin ke honT ne jumbish na ki

us ne jo bhi rup dhaara us ne jo bhi dukh diya

aadmi banne ki hum ne us se farmaish na ki

kuchh qalam-bandi se mujh ko aar tha warna 'naim'

kab mere abr-e-nigah ne fikr ki barish na ki

(996) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Wo Kisht-e-arzu Tha Jis Ki Paimaish Na Ki In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Dil Wo Kisht-e-arzu Tha Jis Ki Paimaish Na Ki is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Dil Wo Kisht-e-arzu Tha Jis Ki Paimaish Na Ki for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Dil Wo Kisht-e-arzu Tha Jis Ki Paimaish Na Ki in PDF.