Gham Se Bikhra Na Paemal Hua

gham se bikhra na paemal hua

main to gham se hi be-misal hua

waqt guzra to mauja-e-gul tha

waqt Thahra to mah-o-sal hua

hum gae jis shajar ke sae mein

us ke girne ka ehtimal hua

bas ki wahshat thi kar-e-duniya se

kuchh bhi hasil na hasb-e-haal hua

sun ke iran ke nae qisse

kuchh ajab sufiyon ka haal hua

jaane zindan mein kya kaha us ne

jis ka kal raat intiqal hua

kis liye zulm hai rawa is dam

jis ne puchha wo paemal hua

jis talluq pe faKHr tha mujh ko

wo talluq bhi ek wabaal hua

ai 'hasan' neza-e-rafiqan se

sar bachana bhi ek kamal hua

(976) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Se Bikhra Na Paemal Hua In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Gham Se Bikhra Na Paemal Hua is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Gham Se Bikhra Na Paemal Hua for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Gham Se Bikhra Na Paemal Hua in PDF.