Husn Ke Sehr O Karamat Se Ji Darta Hai

husn ke sehr o karamat se ji Darta hai

ishq ki zinda riwayat se ji Darta hai

main ne mana ki mujhe un se mohabbat na rahi

ham-nashin phir bhi mulaqat se ji Darta hai

sach to ye ki abhi dil ko sukun hai lekin

apne aawara KHayalat se ji Darta hai

itna roya hun gham-e-dost zara sa hans kar

muskuraate hue lamhat se ji Darta hai

jo bhi kahna hai kaho saf shikayat hi sahi

in ishaaraat-o-kinayat se ji Darta hai

hijr ka dard nai baat nahin hai lekin

din wo guzra hai ki ab raat se ji Darta hai

kaun bhula hai 'naim' un ki mohabbat ka fareb

phir bhi in taza inayat se ji Darta hai

(905) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Ke Sehr O Karamat Se Ji Darta Hai In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Husn Ke Sehr O Karamat Se Ji Darta Hai is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Husn Ke Sehr O Karamat Se Ji Darta Hai for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Husn Ke Sehr O Karamat Se Ji Darta Hai in PDF.