Jadu-e-KHwab Mein Kuchh Aise Giraftar Hue

jadu-e-KHwab mein kuchh aise giraftar hue

barish-e-sang hui bhi to na bedar hue

jab the KHush-haal bhale lagte the rishte gham ke

ab wahi rishte meri jaan ka aazar hue

jab talak panw mein wahshat thi junun mein taqat

na kisi sae mein baiThe na kabhi KHar hue

main ne jab gulf mein kuchh daulat-o-izzat pai

aalam-e-fan bhi mere haq mein razakar hue

jab khule naqd ke ausaf ba-faiz-e-naqdi

kuchh risalon ke editor bhi taraf-dar hue

wasl se jin ke hai maghrib mein qayamat si bapa

un hi lounDon ke liye 'mir'-ji bimar hue

goliyan chalne ko tayyar thin pahle se 'naim'

hum to bas jhanDa uThane ke gunahgar hue

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jadu-e-KHwab Mein Kuchh Aise Giraftar Hue In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Jadu-e-KHwab Mein Kuchh Aise Giraftar Hue is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Jadu-e-KHwab Mein Kuchh Aise Giraftar Hue for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Jadu-e-KHwab Mein Kuchh Aise Giraftar Hue in PDF.