Jangalon Ki Ye Muhim Hai RaKHt-e-jaan Koi Nahin

jangalon ki ye muhim hai raKHt-e-jaan koi nahin

sang-rezon ki girah mein kahkashan koi nahin

kya KHabar hai kis kinare is safar ki sham ho

kashti-e-umr-e-rawan mein baadban koi nahin

aashiqon ne sirf apne dukh ko samjha mo'tabar

mehr sab ki aarzu hai mehrban koi nahin

ek dariya par kar ke aa gaya hun us ke pas

ek sahra ke siwa ab darmiyan koi nahin

hasraton ki aabru tahzib-e-gham se bach gai

is nafasat se jala hai dil dhuan koi nahin

kaT chuke hain apne mazi se suKHan ke pesha-war

marsiya-go so chuke aur qissa-KHwan koi nahin

puchhta hai aaj un ka be-takalluf sa libas

is gali mein kya jiyala naujawan koi nahin

wo rahe qaid-e-zaman mein jo makin-e-am ho

lamha lamha jine walon ka makan koi nahin

majlison ki KHak chhani to khula mujh par 'naim'

aazmi sa KHush-nigah o KHush-bayan koi nahin

(859) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jangalon Ki Ye Muhim Hai RaKHt-e-jaan Koi Nahin In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Jangalon Ki Ye Muhim Hai RaKHt-e-jaan Koi Nahin is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Jangalon Ki Ye Muhim Hai RaKHt-e-jaan Koi Nahin for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Jangalon Ki Ye Muhim Hai RaKHt-e-jaan Koi Nahin in PDF.