KHurshid Ki Nigah Se Shabnam Ko Aas Kya

KHurshid ki nigah se shabnam ko aas kya

taswir-e-rozgar se dil hai udas kya

shohrat ki gard KHwab ke tufan ghamon ki dhul

in ke siwa hai aur zamane ke pas kya

TuTa na zor-e-gham na zamane ka sar jhuka

niklegi wasl-e-yar se dil ki bhaDas kya

hum ko kitab-e-zist ka har bab hifz hai

ek bab-e-gham ka sirf paDhen iqtibas kya

nikle hain zahr karb mein bujh kar tamam lafz

gholen subu-e-sher mein gham ki miThas kya

jin ki nazar mein hech hai taj-e-hunar 'naim'

un ke huzur main kya meri iltimas kya

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHurshid Ki Nigah Se Shabnam Ko Aas Kya In English By Famous Poet Hasan Nayeem. KHurshid Ki Nigah Se Shabnam Ko Aas Kya is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem KHurshid Ki Nigah Se Shabnam Ko Aas Kya for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download KHurshid Ki Nigah Se Shabnam Ko Aas Kya in PDF.