KHwab Ki Rah Mein Aae Na Dar-o-baam Kabhi

KHwab ki rah mein aae na dar-o-baam kabhi

is musafir ne uThaya nahin aaram kabhi

rashk-e-mahtab hai ek dagh-e-tamanna kab se

dil ka nazzara karo aa ke sar-e-sham kabhi

shab-ba-KHair us ne kaha tha ki sitare larze

hum na bhulenge judai ka wo hangam kabhi

sarkashi apni hui kam na ummiden TuTin

mujh se kuchh KHush na gaya mausam-e-alam kabhi

hum se aawaron ki sohbat mein hai wo lutf ki bas

do ghaDi mil to sahi gardish-e-ayyam kabhi

ai saba main bhi tha aashufta-saron mein yakta

puchhna dilli ki galiyon se mera nam kabhi

nudrat-e-fikr ne gar sath jo chhoDa to 'naim'

apne sar lenge tatabbo ka na ilzam kabhi

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Ki Rah Mein Aae Na Dar-o-baam Kabhi In English By Famous Poet Hasan Nayeem. KHwab Ki Rah Mein Aae Na Dar-o-baam Kabhi is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem KHwab Ki Rah Mein Aae Na Dar-o-baam Kabhi for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download KHwab Ki Rah Mein Aae Na Dar-o-baam Kabhi in PDF.