Koh Ke Sine Se Aab-e-atashin Lata Koi

koh ke sine se aab-e-atashin lata koi

is nawa-e-agahi ko Dub kar gata koi

dekhta masti ka sangam lab hai ya guftar hai

jam se mere jo apna jam Takraata koi

baadalon ki tarah aaya barq-asa chal diya

chand ki manind shab bhar to Thahar jata koi

husn ka dil se talluq daimi hai garm hai

warna kis ka kis se hai rishta koi nata koi

mangne ko mang len ashaar-e-gham se dilkashi

mil nahin sakta hai un ko fikr sa data koi

nazish-e-farda mera husn-e-taghazzul hai 'hasan'

ranj hota aaj gar kuchh qadr farmata koi

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koh Ke Sine Se Aab-e-atashin Lata Koi In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Koh Ke Sine Se Aab-e-atashin Lata Koi is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Koh Ke Sine Se Aab-e-atashin Lata Koi for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Koh Ke Sine Se Aab-e-atashin Lata Koi in PDF.