Kuchh Usulon Ka Nasha Tha Kuchh Muqaddas KHwab The

kuchh usulon ka nasha tha kuchh muqaddas KHwab the

har zamane mein shahadat ke yahi asbab the

koh se niche utar kar kankari chunte hain ab

ishq mein jo aabju the jang mein sailab the

saz o saman the zafar ke par wo shab mein luT gae

KHak o KHun ke darmiyan kuchh KHwab kuchh kam-KHwab the

kya dam-e-ruKHsat nazar aate KHutut-e-dilbari

naqsh the us chand ke lekin ba-shakl-e-ab the

main udu ki justuju mein tha ki ek patthar laga

muD ke dekha to sinan tane hue ahbab the

the bahut nayab wo nur-e-qalam zor-e-bayan

shola uTTha jab junun ka phir wahi nayab the

kya firaq o faiz se lena tha mujh ko ai 'naim'

mere aage fikr-o-fan ke kuchh nae aadab the

(1509) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Usulon Ka Nasha Tha Kuchh Muqaddas KHwab The In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Kuchh Usulon Ka Nasha Tha Kuchh Muqaddas KHwab The is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Kuchh Usulon Ka Nasha Tha Kuchh Muqaddas KHwab The for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Kuchh Usulon Ka Nasha Tha Kuchh Muqaddas KHwab The in PDF.