Ku-ruswai Se UTh Kar Dar Tak Tanha Gaya

ku-e-ruswai se uTh kar dar tak tanha gaya

mujh se jite-ji na daman KHwab ka chhoDa gaya

kya bisat-e-KHar-o-KHas thi phir bhi yun shab-bhar jale

dosh par baad-e-sahar ke dur tak shoala gaya

ruh ka lamba safar hai ek bhi insan ka qurb

main chala barson to un tak jism ka saya gaya

kis ko be-gard-e-masafat shauq ki manzil mili

naghma-gar ki KHalwaton tak bar-ha naghma gaya

kaun mujh ko DhunDhta tha kuchh pata chalta nahin

bazm-e-KHuban mein hazaron bar main aaya gaya

hum wo shaer ki sunate hain surud-e-jaan 'hasan'

ek bhi shoala-nafas mahfil mein gar dekha gaya

mil gae jab nira-dishwar dasht-e-ghurbat mein 'naim'

ek naya rishta azimabaad se joDa gaya

(929) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ku-ruswai Se UTh Kar Dar Tak Tanha Gaya In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Ku-ruswai Se UTh Kar Dar Tak Tanha Gaya is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Ku-ruswai Se UTh Kar Dar Tak Tanha Gaya for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Ku-ruswai Se UTh Kar Dar Tak Tanha Gaya in PDF.