Main Kis Waraq Ko Chhupaun Dikhaun Kaun Sa Bab

main kis waraq ko chhupaun dikhaun kaun sa bab

kisi habib ne mangi hai zindagi ki kitab

hamein na bhulna aalam-e-sad-zaman ki yahan

hamin hain maskan-e-hirman hamin hain bait-e-azab

inhi se shab mein ujala inhi se nur-e-KHayal

mere liye to bahut kuchh hain dida-e-be-KHwab

gaya tha dasht se uTh kar samundaron ki taraf

wahan bhi tishna-nasibi wahan bhi marg-e-sarab

pakaD ke daman-e-dil ya jhuka ke sar apna

diya hai KHwab-e-shikasta ka har kisi ko hisab

mere kalam ki tafsir ke liye paDhiye

jamal-e-fikr ki aayat nawa-e-jaan ki kitab

wo aankhen pyar ke lahje mein kah rahi thin 'hasan'

hamin se mang piyala hamin se mang sharab

hawa bahaar ke mausam mein yun chali ki 'naim'

na surKH-ru tha gulistan na surKH-ru the gulab

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Kis Waraq Ko Chhupaun Dikhaun Kaun Sa Bab In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Main Kis Waraq Ko Chhupaun Dikhaun Kaun Sa Bab is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Main Kis Waraq Ko Chhupaun Dikhaun Kaun Sa Bab for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Main Kis Waraq Ko Chhupaun Dikhaun Kaun Sa Bab in PDF.