Main Janam Janam Ka Anis Hun Kisi Taur Dil Mein Basa Mujhe

main janam janam ka anis hun kisi taur dil mein basa mujhe

koi ranj hai to gamin na ho koi dagh hai to dikha mujhe

ye tamam sabza-e-ab-ju ye tamam KHema-e-rang-o-bu

tere jis KHayal ka aks hain wo KHayal kar de ata mujhe

jinhen harf-e-jaan ki KHabar nahin wo paDhane aae kitab-e-jaan

jinhen koi ilm-e-wafa na tha wo sikhane aae wafa mujhe

main niyaz-mand-e-junun sahi mujhe aql se bhi hai wasta

kisi KHwab ki na jhalak dikha tere pas kya hai dikha mujhe

teri guftugu se guman hua koi baat meri bhali lagi

main 'naim' hun ki 'hasan' hun ab yahi baat pahle bata mujhe

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Janam Janam Ka Anis Hun Kisi Taur Dil Mein Basa Mujhe In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Main Janam Janam Ka Anis Hun Kisi Taur Dil Mein Basa Mujhe is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Main Janam Janam Ka Anis Hun Kisi Taur Dil Mein Basa Mujhe for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Main Janam Janam Ka Anis Hun Kisi Taur Dil Mein Basa Mujhe in PDF.