Main Ghazal Ka Harf-e-imkan Masnawi Ka KHwab Hun

main ghazal ka harf-e-imkan masnawi ka KHwab hun

apni sab rudad likhne ke liye betab hun

main babulon ki tarah phula-phala hun dasht mein

abr aae ya na aae main sada shadab hun

mauj-e-sahba hun agar hai zarf yaran aaina

kuchh ghubar aae nazar to sar-ba-sar girdab hun

main hun ek viran sitara-gar hai koi na-shanas

koi hai raushan-nazar to chashma-e-mahtab hun

kya samajh kar mujh se uljhe hain 'hasan' lail-o-nahaar

aap apna roz-o-shab hun aap aalam-tab hun

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Ghazal Ka Harf-e-imkan Masnawi Ka KHwab Hun In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Main Ghazal Ka Harf-e-imkan Masnawi Ka KHwab Hun is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Main Ghazal Ka Harf-e-imkan Masnawi Ka KHwab Hun for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Main Ghazal Ka Harf-e-imkan Masnawi Ka KHwab Hun in PDF.