Mila Na Kaam Koi Umr-bhar Junun Ke Siwa

mila na kaam koi umr-bhar junun ke siwa

tamam aish mayassar rahe sukun ke siwa

lagi wo aag ki diwar-o-dar bhi chal nikle

koi muqim nahin ghar mein ab sutun ke siwa

main us ke jism ki bekal pukar sun bhi chuka

ab us ki aankh mein rakkha hai kya fusun ke siwa

paDi wo dhup ki sab rang paD gae pile

bacha nahin hai koi surKH mere KHun ke siwa

tamam fan ki bina madd-o-jazr dil hai 'naim'

ki sher-o-naghma mein kya mauj-e-andrun ke siwa

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mila Na Kaam Koi Umr-bhar Junun Ke Siwa In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Mila Na Kaam Koi Umr-bhar Junun Ke Siwa is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Mila Na Kaam Koi Umr-bhar Junun Ke Siwa for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Mila Na Kaam Koi Umr-bhar Junun Ke Siwa in PDF.