Mujhko Koi Bhi Sila Milne Mein Dushwari Na Thi

mujh ko koi bhi sila milne mein dushwari na thi

sab hunar aate the lekin aql se yari na thi

jin dinon iKHlas mein thoDi si ayyari na thi

husn ke darbar mein sabit wafadari na thi

sar-kashi ke ahd-namon ki hifazat ke liye

mere qalb-o-jaan se behtar koi almari na thi

jin usulon ke liye jina bahut mushkil hua

un ki KHatir jaan de dene mein dushwari na thi

husn hi ka wo ilaqa tha jahan sab kuchh mila

ishq ki apni alag koi zamin-dari na thi

sab pareshan hain ki aaKHir kis waba mein wo mere

jin ko ghurbat ke alawa koi bimari na thi

kis tarah baad-e-fana se main bacha leta use

us ghazal paikar mein koi fan ki chingari na thi

rose ek muzi ko neze par uThata tha 'naim'

inqilabi quwwaton ki jab samajhdari na thi

(772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Koi Bhi Sila Milne Mein Dushwari Na Thi In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Mujhko Koi Bhi Sila Milne Mein Dushwari Na Thi is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Mujhko Koi Bhi Sila Milne Mein Dushwari Na Thi for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Mujhko Koi Bhi Sila Milne Mein Dushwari Na Thi in PDF.