Na Mere KHwab Ko Paikar Na KHadd-o-Khaal Diya

na mere KHwab ko paikar na KHadd-o-KHal diya

bahut diya to mujhe mauqa-e-visal diya

mila na ruh na dil ka koi hisab magar

ye kar-e-zist kisi taur se sambhaal diya

tamam-umr ki bechainiyon se kuchh na hua

mere junun ko KHirad kah ke us ne Tal diya

kisi nigah ne ummid ko diya chehra

kisi shabih ne sab se hasin KHayal diya

mere uyub ki taswir is tarah khinchi

mere hunar ko pas-e-pusht us ne Dal diya

kai KHayal jo aawara-KHu the sarkash the

unhen bhi sher ke sanche mein hum ne Dhaal diya

usi ne sar pe biThaya tha jis ne aaj 'naim'

samajh ke panw ka kanTa mujhe nikal diya

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Mere KHwab Ko Paikar Na KHadd-o-Khaal Diya In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Na Mere KHwab Ko Paikar Na KHadd-o-Khaal Diya is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Na Mere KHwab Ko Paikar Na KHadd-o-Khaal Diya for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Na Mere KHwab Ko Paikar Na KHadd-o-Khaal Diya in PDF.