Raat Guzri Ki Shab-e-wasl Ka Paigham Mila

raat guzri ki shab-e-wasl ka paigham mila

so gae KHwab ki banhon mein jo aaram mila

DhunDte rahiye shab-o-roz umidon ke qadam

kucha-e-zist mein le de ke yahi kaam mila

KHubi-e-baKHt ki jab bhul chuka tha sab kuchh

bewafai ka lab-e-ghair se ilzam mila

pa-piyaada tha magar rah mein wo dhum machi

jhuk ke tazim se shahzada-e-ayyam mila

hum ne bechi nahin jis rose mata-e-ghairat

ek piyala bhi na mai ka hamein us sham mila

muKHtasar ye hai ki jab waqt-e-wida-e-gul tha

KHwab mein aa ke gale mujh se wo gulfam mila

hum junun hai ki nahin rah mein puchhenge 'naim'

dasht-e-ghurbat mein ye kya kam hai ki hamnam mila

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Guzri Ki Shab-e-wasl Ka Paigham Mila In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Raat Guzri Ki Shab-e-wasl Ka Paigham Mila is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Raat Guzri Ki Shab-e-wasl Ka Paigham Mila for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Raat Guzri Ki Shab-e-wasl Ka Paigham Mila in PDF.