Qasida Tujhse Ghazal Tujhse Marsiya Tujhse

qasida tujh se ghazal tujh se marsiya tujh se

har ek harf hua sahab-e-nawa tujh se

zaban-kushai-e-gham se khuli kitab-e-KHayal

waraq waraq pe khula husn-e-muddaa tujh se

zamin mein phuT paDa chashma-e-junun-saman

gulon mein sard paDi aatish-qaba tujh se

kahan se zud-faramoshiyon ki KHu sikhi

jo dekhiye to na thi barq-ashna tujh se

pahunch to jata sar-e-KHema-e-wafa-abaad

magar hai sust qadam umr-e-tez-pa tujh se

kiye the kaam jo dil ke sipurd un ko bhi

dimagh-e-dahr se baDh kar hai ab gila tujh se

hua jo kucha-e-tanqid mein 'hasan' ruswa

milaya ghaib ne 'ghaalib' ka silsila tujh se

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qasida Tujhse Ghazal Tujhse Marsiya Tujhse In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Qasida Tujhse Ghazal Tujhse Marsiya Tujhse is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Qasida Tujhse Ghazal Tujhse Marsiya Tujhse for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Qasida Tujhse Ghazal Tujhse Marsiya Tujhse in PDF.