Wahshat-e-jaan Ko Payam-e-nigah-e-naz To Do

wahshat-e-jaan ko payam-e-nigah-e-naz to do

is fasane ko zara garmi-e-aghaz to do

mere qadmon ke nishan rah se kuchh dur sahi

tum se main dur nahin hun mujhe aawaz to do

dil mein tufan nahin ho to kare kya naghma

main sunata hun yahi rag mujhe saz to do

koi buniyaad nahin qaid-e-talluq ki abhi

jazba-e-gham ko zara fikr ka andaz to do

us ne sine se lagaya jo kaha main ne 'hasan'

dil mein rakhne ke liye apna koi raaz to do

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahshat-e-jaan Ko Payam-e-nigah-e-naz To Do In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Wahshat-e-jaan Ko Payam-e-nigah-e-naz To Do is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Wahshat-e-jaan Ko Payam-e-nigah-e-naz To Do for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Wahshat-e-jaan Ko Payam-e-nigah-e-naz To Do in PDF.