Usi KHush-nawa Mein Hain Sab Hunar Mujhe Pahle Tha Na Qayas Bhi

usi KHush-nawa mein hain sab hunar mujhe pahle tha na qayas bhi

usi KHush-nawa pe saja hai kya meri shairi ka libas bhi

wo ghazal ka rup liye hue mujhe har maqam pe le gaya

kabhi dasht-e-yar ke darmiyan kabhi shahr-e-fikr ke pas bhi

jise itna auj-e-nazar mila use kyun na dard-e-zamin mile

kisi falsafe ka nuzul hai tere lab pe kalma-e-yas bhi

koi jaise nok-e-sinan liye shab-o-roz sar pe khaDa raha

hai aziyyaton ke shumar mein ye aziyyaton ka hiras bhi

ruKH-e-dagh-e-dil ke siwa 'hasan' main nawa-e-be-dil-o-shad hun

inhi aashiqon ka hai rang bhi unhi kaamilon ka hai bas bhi

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usi KHush-nawa Mein Hain Sab Hunar Mujhe Pahle Tha Na Qayas Bhi In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Usi KHush-nawa Mein Hain Sab Hunar Mujhe Pahle Tha Na Qayas Bhi is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Usi KHush-nawa Mein Hain Sab Hunar Mujhe Pahle Tha Na Qayas Bhi for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Usi KHush-nawa Mein Hain Sab Hunar Mujhe Pahle Tha Na Qayas Bhi in PDF.