Wo Jo Dard Tha Tere Ishq Ka Wahi Harf Harf-e-suKHan Mein Hai

wo jo dard tha tere ishq ka wahi harf harf-e-suKHan mein hai

wahi qatra qatra lahu bana wahi reza reza badan mein hai

wo nasim jaane kahan gai wo gulab jaane kidhar khile

koi aag pichhli bahaar ki mere qalb mein na chaman mein hai

yahi waqt sail-e-rawan liye meri kashtiyon ko Dubo gaya

koi lahar aab-e-hayat ki abhi gang mein na jaman mein hai

dam-e-subh aaj hai dopahar na wo chahchahe na wo zamzame

wo parinde uD ke kahan gae koi shor ganw na ban mein hai

jo sitara qibla-e-rah tha wo sharar ban ke bujha 'naim'

ye zamin chadar-e-KHak hai mera chand jab se gahan mein hai

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Jo Dard Tha Tere Ishq Ka Wahi Harf Harf-e-suKHan Mein Hai In English By Famous Poet Hasan Nayeem. Wo Jo Dard Tha Tere Ishq Ka Wahi Harf Harf-e-suKHan Mein Hai is written by Hasan Nayeem. Read famous Poem Wo Jo Dard Tha Tere Ishq Ka Wahi Harf Harf-e-suKHan Mein Hai for youth and Student by Hasan Nayeem. Free Download Wo Jo Dard Tha Tere Ishq Ka Wahi Harf Harf-e-suKHan Mein Hai in PDF.